Sunday, November 30, 2008

Spirit of Mumbai

Aatank ne bitha rakhi thi ek aisi jaal,
Aam aadmi ke haal ho gaye behaal,
Jaha dekho waha dharti ho gayi thi lal,
Dharti ke saputo ne apni jaan kar di nihaal,
Aaj sabke Mann me bas ek hi sawal,
Kab hum nidar ban kar khinch lege dushmano ki khaal.

Friendship Day

Uthja uth ja e mere dost,
Friendship Day par lets raise a toast,
E kanjus, message to kar ya kar Orkut pe ek post,
In the memories, Mann got lost,
Cherishing those memories the most.

A Ray of Light

When you don't know whats wrong and whats right,
With closed ones also when you fight,
In deep thinking, you spend the entire night,
When noone understands your plight,
You need someone who can hold you tight,
Which can show your Mann - a ray of light.

The Secret

Think good thing and one will get,
All the happiness, now one can attract,
Only positive vibes from me, now you can expect,
Revealed to my Mann is a great SECRET.

Wednesday, February 27, 2008

My Best Friend's Wedding

Dhol baaje,shehnai gunje,aa gaya hai who shubh din,
Khushiya aur umang ke is mahol me ho ja tu talleen,
Mann ko karke mukt tu macha de aaj tak dhina dhin,
Tere naam se aaj meet jayenge do label: Bachelor aur Virgin.

Monday, February 18, 2008

Rishtey

Naajuk dhaage se bane hote hai yeh rishtey,
Sambhalkar rakhna padta hai usey, warna ho jaate hai kishte,
Tute huye dil ke taar phir jod na paate hai farishte,bhi,
Mann ro padta hai jab haath me reh jaate hai sirf hisse hi.

Andhera

Charo taraf chhaya hua hai andhera,
Mann dhund raha hai ek naya sabera,
Par suraj pe bithaya rakha hai kisine aisa pehra,
Kahi saath na chhoot jaaye tera aur mera.

Everything is hazy

Everything is looking so hazy, Mann is very unclear,
I want to say many things, but who will hear?
People look like so far in spite of being near,
There is no one whom I can call dear,
So sometimes I just let my lips feel the heat of a drop of tear,
But I know, I alone have to put my life back to gear.

~Wanna Cry~

~M~y face has turned wry,
my eyes h~A~ve turned dry,
i wa~N~t to smile, let me try,
may be right ~N~ow i need someone’s shoulder to cry.

Kaise Bhoolau

Har pal, har lamha jise main yaad karta rehta tha,
bata kaise ab yu usko bhoolau?
Hoth mere abhi abhi hasna sikhe they,
bata kaise ab aankho ka na roolau?
Armaan jo mere Mann me kisine jagaye they,
bata kaise ab unhe soolau?

Zubaan meri khamosh ho gayi hai,
bata kaise ab kisiko pyaar se boolau?

CAT D-day

Over is now the mock test,
Get ready for the final quest,
Be relaxed n take proper rest,
Mann is wishing you All the Best.

Maaya

Jab se koi toh meri zindagi main hai aaya,
Mere Mann me ek ajib sa nasha hai chhaya,
Maloom nahi kaisa jaadu yeh usne chalaya,
Pichha karta rehta mai, jaha bhi dekhu uska saaya,
Mere dil ka dhadkna usine hai badhaya,
Kabhi lagta hai yeh sach toh kabhi sab kuch ek maaya.

Valentine's Day

Aaj ke din ka har mashook/a ko hota hai intezaar,
Kafi waqt se jo baat Mann me chhupayi hai, kar de aaj uska izhaar,
Yeh mat soch, who na kahegi/a ya kar legi/a tera pyaar swikar,
Doob jaa aaj pyaar ke sagar me,aaya hai mohabbat ka sabse bada tyohaar.

$Money Money Money$

Say Adios to the past, life is no more funny,
Come out of the shell, we have tasted enough of honey,
Face the real world, where everyone talks only about money,
Mann says, break all the norms and lets begin the new journey…
Where there is Money And oNly moNey.

Sagai

Charo taraf gunj rahi hai shehnai,
Khushiyo se bhara hai din aaja ka, ho rahi hai mere kisi apne ke sagai,
Jodi unki rahe atut sada, jaari rahe rishto me gehrai,
Mere chehre pe bhi muskann hai aaj…
par pata nahi kyun Mann ke ek kone me chhayi huyi hai tanhai.

Dard

Dard ab badh gaye hai itne ki, sochu main jor se aisa chikhu,
Is duniya se kafi dur chala jaoon, kisi ko na main dikhu,
‘Chinta mat kar’, Sab thik ho jayega’,‘Uparwala achha karega’-sunta rehta hoon roj, par khali in shabdo se kya main sikhu?
Pata nahi Mann ko har taraf gam kyun dikhte hai, jab bhi kuch main likhu.

Pyar ki meethi takrar

Pyaar jisse karte hai hum bepanah, kyun ladte hai usike saath,
Woh kahe mera, main kahu uska –hai jhagde ke pichhe haath,
Phir bina soye sochte sochte hi kat jaati hai saari raat,
Kehta khudko ki is se achha toh na ki hoti usse baat,
Par bina baat kiye reh nahi paata, jab hoti hai phir se mulakat,
Mann sochta hai yeh aafat hai ya hogi koi nayi shuruaat.

Guru

Kehdo apne mann se ki ab kisise na main haaru,
Aage hi badhta rahu, har chunotiyo ko lalkaru,
Banna hai ab saari duniya ka guru,
Sapne ko pura karne ko chal ho ja shuru.

Makarsankranti

Udne de aur upar, ab dhil de apne patang ko,
Mukt hava me lehrane de apne Mann ke tarang ko,
Bhar le apni aankho me aasma mein chhaye huye hare ek rang ko,
Oonche udna panchiyo se bhi, par chot na pahuchana kisi vihang* ko,
Dost bhi karega lappet teri aaj, par chhodna na uske sang ko,
Ae Kapyo Chhe kehkar shuru kar do aaj ke jang ko,
Na chhodna aaj kisi ki bhi patang ko,
Bhar lo aaj ka din khushiyo se, umadne do dil ke saare umang ko.

Bandhan

Bandhan ke liye zaroorat nahi hai salakho ki,
Udne ke liye zaroorat nahi hai paankho ki,
Udne de apne Mann ko, khule aasma mein,
Phir dekhna, kaise chamak badh jati hai aankho ki.

Dard udhaar

Agar tu maanta hai Mann ko sachcha yaar,
Toh sun le Mann ke dil ki pukar,
Kam karna hoga tujhe apne dil par se bhaar,
Warna maang luga mein tere dard udhaar.

Raaz

Chhupaye hai dil mein tune itne saare raaz,
Suna de ab toh apne dil ki aawaz,
Naa lega Mann ab teri koi bhi baat pe aitraaz,
Shabdo ko aana hi hoga tere labo pe aaj.

Teri yaad

Jaa raha hoon tujhse mein kafi door,
Sapne they jo hamare, karke unko chur-chur,
Maaf kar dena mujhe, hoon mein majboor,
Par ha, yaad toh aayegi Mann ko teri zaroor.

Umeed

Zindagi meri rishto mein yun ulazati rahi,
Tay na kar paya- kya galat hai kya sahi,
Baatein rah gayi kuch unsuni, kuch unkahi,
Kya yahi hai meri zindagi ?
Shaayad nahi ;
Umeed ki kuch boonde abhi bhi hain yahee-kahee,
Kya pata raasta dikha de Mann ko chhoti-si boonde wohi.

Karibi Dost

Bhulana hi hoga toh bhulauga apne gamo ko,
Kaise dosh bhi de sakta hoon apne karmo ko,
Aap jaise dost ko milaya hai isi nasib ne,
Jisne jaana hai Mann ko itne karib se.

Pyaar ho gaya

Aaj kal mere dil ki dhadkan kehna chahti hai kuch,
Phir mere kaan tak woh baat kyun nahi paati hai pahunch,
Log kehte hai, aise waqt tu apne Mann se puchh,
Kya mujhe pyaar ho gaya hai sachmuch ? ? ?

Bharat Ma

Aaj yaad karo un veero ko, gulami ka kiya tha jisne khatma,
Par aaj bhi hai hum gulam chand logo ke, jal rahi hai aatma,
Kuch toh karna hai desh ke liye, bhale na ban sake mahatma,
Sachche Mann se salam karo tirange ko, kabhi na jhukegi ab bharat ma.

Tum bin raha na jaaye...

Aankho se main bayaan nahi kar paata,
Hotho ki zuban se kuch keh nahi paata,
Mann hi maan me kisi ke liye geet gaata rehta,
Koi toh hai jiske bina main reh nahi paata.

Tanha

Zindagi ki raah par chal pada hoon mein tanha,
Yaad aata hai saath gujara har ek lamha,
Kuch khatta tha kuch meetha- kabhi hua khush kabhi kafi saha,
Jisse tha rishta dil ka woh bhi ab na raha.
Tab kisi ne aakar halke se kaha,
Darna mat Mann– jiska koi nahi uska mein hoon yaha,
Khud pe vishwas rakhna hamesha-hoga tera saara jaha,
Raasta mera ho gaya ab aasan- naa raha ab mein tanha.

Chahat

Kisi se jab ho jaati hai chahat,
Dil sunna chahata hai uski har ek aahat,
Jab tak dekh na le uske chehre pe muskarahat,
Mann ko hoti nahi hai tab tak rahat.

Aankho ke nazaro mein...

Aankho ke nazaro mein dikha na koi apna,
Saamne na manzil thi – na thi kisi ki pana(h),
Itne saare dukho ke saath kyun ho na jaoon mein fanna?
Aankho ke…

Tab Palko ke kinaro pe khil raha tha ek sapna,
Us sapne ko pura karne ko ab mujhko hai jeena,
Is duniya ke dardo ko akele hi hai peena,
Sapne ko khud pura karke sabko hai dikhana,
Saath mein hai ek tamanna,
Ki har raah bhatke ko umeed ka paath shikhana,
Aur Mann mein vishwas jagana.

V4

Naa layenge aankho mein kabhi bhi nami,
Naa mehsoos hone denge kisi ki kami,
Denge saath jab tak rahe yeh aasma aur zamee (n),
Dosti ka hai yeh naya naam: Mann, Meet, Prit & Ami.
 
hit counter html code
html hit counter code